Wednesday, June 2, 2010

Zorba the Buddha

APNE JIVAN KA SOFTWARE SWYAM BANAYEIN .
... APNE JIVAN KA SOFTWARE SWYAM BANAYEIN ...

. Computer aur hamare Jivan ka system ek jaisa hai.

. Computer ki body, body mein hardware, hardware mein software.

. Isi prakaar hamaara shareer, usme sthit Brain spinal card aur poora Nervus system hai uska Hardware Aur uski programming Man uska Softwar,

Aur uska pragatikaran uske monitor {sansaar} mein hota hai. jaise Monitor sabke alag-alag hote hai, usi prakaar hum sabke Sansaar bhi alag

-alag hote hai.

. Sansaar'Roopi Monitor vahi darshata hai jaisi hamare Avchetan me programming hai, jaise agar Dukh ki programming hai to Sansaar'Roopi hamara

Monitor dukh ko hi pragat karega, yadi Anand ki programming hai to Anand pragat karega. Saar-Sutra yah hai Bahar Sansaar'Roopi Monitor me jo

bhi pragat ho raha hai vah aapke bheeter Avchetan ki programming se aa raha hai.

. Aur hamare liye khushkhbari hai ki hum apne Avchetan me phir se Reprogramming kar apne sansaar ko sunder bana sakte hai.

. Kyonki hamara abhi jo jivan hai vah jaane-anjaane atit ki feeding ke karan hai.

. Atah hum ek Santulit apne jivan ka software banayien -- Jisme hamara sampoorna vikas ho, Artharth poorna Bhoutik samraddhi ho aur poorna Aantrik

samraddhi ho. hamare paas prachur dhan ho, Pyare mitra ho'n, hamari sundar aur hamse match karti hue patni/pati ho, hum Ghar-parivaar aur samaaj me

apna sahyog kar sakein,aur bheeter se param shaant ho'n. yahi hai sampoorna manushya, jise hamare Param Sadguru Pyare Osho- "JORBA THE BUDDHA"

kahtein hai. aur "JORBA THE BUDDHA" hamari Niyati hai, hamara janm'siddh adhikaar hai,hame koi srijan nahi karna hai, hame to jaagkar iska

Aaviskaar karna hai.

. aisa Software astitva ke anukool hoga, aur Astitva ise sahaj pragat kar dega.

. Par isko install karne ka raaj hai--Aur vah hai ise Avchetan ki param gahrai me install karna,vah hamara rachnaatmak kshetra hai, vahin se

sare Brahmmaand ki rachna hoti hai. usi gahrai me jakar hum jaisa jivan chahtein hai use film roop me ghatte hue dekhna hota hai, artharth

hame apni sankalpna ko itni adhik sanvedan'sheelta ke sath chitratmak roop me dekhna hota hai ki jaise hum yathaarth me usko ji rahe hai'n.

. Sammohan ke dwara hum apne Avchetan me jivan ke software ko install kar sakte hain.

. Sammohan hamari sahaj swabhaavik shakti hai.

. Dr.Michel Newton kahte hai'n-- All hypnosis is self hypnosis, sara sammohan swayam ka sammohan hai.

. Ratri neend me hum sahaj hi sammohan ki avastha me chale jaate hai.hum chahein to neend ka upyog apne software ko install karane me kar sakte hai.

. Hum kuchh mitra aisa prayog kar rahe hai--hamne sajagta'poorvak 'Jorba The Buddha' ko dhyan me rakh- kar apne jivan ka software banaya hai, jise

hamne gaate hue artharth layabaddhta me use gungunaate hue record kar liya hai, roj sote samay use repeat mode me lagakar so jaate hai,subah

jagne par vah chalta rahta hai, din me jab samay milta hai to apne ko bhaav poorna sujhao deker us software ko install karte rahte hai,shesh samay

indriyo ke prati khoob sanvedan'sheel hokar kshan-kshan is bhaav me jeete hai ki hamaari sankalpna poori ho gai hai,samast astitva ko ahobhao...!!!

pragat karate rahate hain.hum jo sankalpana kar rahe hai us'se sambandhit raaste ban'ne lage hai,Aap bhi aisa prayog kare aur apne anubhav hame

share karein.

<<<>>>

[ Neend me bhi aakarshan ki shaktinya'n soone se pahle ke hamare aakhiri vicharoo'n par kaam karti hai'n, isliye sone se pahle achchhe vichaar karein]

<<<>>>

[ Aapko vahi milta hai jo aap Avchetan ko mahsoos kara paate hai na ki vah jiske baare me aap sonch rahe hai]

<<<>>>

[Yah kaise hoga ya brhmmaand us cheej ko aap tak kaise pahuchayega, yah chinta karna aap ka kaam nahi hai.yah to brahmmaand ka kaam hai. use

apna kaam karne dein. jab aap yah pata lagaane ki koshish karte hai ki yah kaam kaise hoga, to aap ke dwara bheji jaane vaali frequiency

me aastha ka abhaao hota hai. isse lagta hai ki yah kaam bhi aap ko karna hai aur aapko is baat par yakeen nahi hai ki brahmmaand us kaam ko

aap ke liye apne aap kar dega. rachnaatmak prakriya me kaise ke baare me sonchna aapka kaam nahi hai.

<<<>>>

. Ek baar aap oshodhara ka sammohan pragya programme kar le. Vahan "Pyare Sadguru Trivir" ke dwara aap ko nai-nai technique installation ki pata

chlengi,jo aapke anukool lage uska ghar aakar aap abhyaas karein. kyonki hamari "Oshodhara" me manushya ke sampoorna vikas par khoj chal rahi

hai,aur nit-nootan nai- nai technique khoji ja rahi'n hai'n. jisse hum aasani se "Jorba The Buddha" ko uplabddh ho sakein.

>>> Osho jagran >>>

Posted by oshojagran |

Labels: Jorba The Buddha

1 comments:

No comments:

Post a Comment